taqdir ho KHarab to tadbir kya kare
hathon mein dam agar nahin shamshir kya kare
mujh ko andheron mein hi bhaTakna hai umr-bhar
jab aankh hi nahin hai to tanwir kya kare
aazad ho gaya hai wo duniya ki qaid se
us ka bulawa aaya to zanjir kya kare
daulat hai mere hath mein dil ko sukun nahin
chain aur qarar ke liye jagir kya kare
gum ho gaya shikar nigahon ke samne
TuTi ho jab kaman to phir tir kya kare
Ghazal
Taqdir ho KHarab to tadbir kya kare
Arun Kumar Arya