اردو हिंदी
Taqaza ho chuki hai aur tamanna ho raha hai | Shaahi Shayari
taqaza ho chuki hai aur tamanna ho raha hai

Ghazal

Taqaza ho chuki hai aur tamanna ho raha hai

Zafar Iqbal

;

taqaza ho chuki hai aur tamanna ho raha hai
ki sidha chahta hun aur ulTa ho raha hai

ye taswiren sadaon mein Dhali jati hain kyun kar
ki aankhen band hain lekin tamasha ho raha hai

kahin Dhalti hai sham aur phuTti hai raushni si
kahin pau phaT rahi hai aur andhera ho raha hai

pas-e-mauj-e-hawa barish ka bistar sa bichhane
sar-e-baam-e-nawa baadal ka TukDa ho raha hai

jise darwaza kahte the wahi diwar nikli
jise hum dil samajhte the wo duniya ho raha hai

qadam rakkhe hain is payab mein hum ne to jab se
ye dariya aur gahra aur gahra ho raha hai

KHarabi ho rahi hai to faqat mujh mein hi sari
mere chaaron taraf to KHub achchha ho raha hai

kahan tak ho saka kar-e-mohabbat kya bataen
tumhaare samne hai kaam jitna ho raha hai

guzarte ja rahe the hum 'zafar' lamha-ba-lamha
samajhte the ki ab apna guzara ho raha hai