اردو हिंदी
Tapti zamin pe panw na dhar ab bhi lauT ja | Shaahi Shayari
tapti zamin pe panw na dhar ab bhi lauT ja

Ghazal

Tapti zamin pe panw na dhar ab bhi lauT ja

Ejaz Rahi

;

tapti zamin pe panw na dhar ab bhi lauT ja
kyun ho raha hai KHak-ba-sar ab bhi lauT ja

ab tak khule hue hain sadaqat ke raste
band ho na jaen waqt ke dar ab bhi lauT ja

itra na tu nawishta-e-diwar paDh bhi le
dar-o-rasan ki baat na kar ab bhi lauT ja

aaankhon ke baadban se viraniyan bhi dekh
kis darja luT chuka hai ye ghar ab bhi lauT ja

'rahi' abhi to sham ki surKHi bujhi nahin
zid kar na lait-o-lal na kar ab bhi lauT ja