tapte sahraon ki saughat liye baiTha hai
pyasi aankhon mein wo barsat liye baiTha hai
chand masle hue safhat liye baiTha hai
ghar ka buDha jo riwayat liye baiTha hai
umr hi teri guzar jaegi un ke hal mein
tera bachcha jo sawalat liye baiTha hai
zulf-e-shab-rang pe rangin kashida aanchal
wo koi taron bhari raat liye baiTha hai
tu bahadur hai magar hech hai us ke aage
ek buzdil jo teri baat liye baiTha hai
kaise kah dun ki use jine ka haq hai 'hamid'
dil mein jo lasha-e-jazbaat liye baiTha hai
Ghazal
Tapte sahraon ki saughat liye baiTha hai
Hamid Mukhtar Hamid