tapish se meri waqf-e-kashmakash har tar-e-bistar hai
mera sar ranj-e-baalin hai mera tan bar-e-bistar hai
sarishk-e-sar ba-sahra dada nur-ul-ain-e-daman hai
dil-e-be-dast-o-pa uftada bar-KHurdar-e-bistar hai
KHusha iqbaal-e-ranjuri ayaadat ko tum aae ho
farogh-e-sham-e-baalin tala-e-bedar-e-bistar hai
ba-tufan-gah-e-josh-e-iztirab-e-sham-e-tanhai
shua-e-aftab-e-subh-e-mahshar tar-e-bistar hai
abhi aati hai bu baalish se us ki zulf-e-mushkin ki
hamari did ko KHwab-e-zuleKHa aar-e-bistar hai
kahun kya dil ki kya haalat hai hijr-e-yar mein ghaalib
ki betabi se har-yak tar-e-bistar KHar-e-bistar hai
Ghazal
Tapish se meri waqf-e-kashmakash har tar-e-bistar hai
Mirza Ghalib