tapish se bhag kar pyasa gaya hai
samundar ki taraf sahra gaya hai
kuan maujud hai jal bhi mayassar
wo mere ghar se kyun tishna gaya hai
dobara ruh us mein phunk do tum
badan jo phir akela aa gaya hai
zaman apni rawish par to hai qaem
magar lamhat mein farq aa gaya hai
safar mein taza-dam hoga wo kaise
jo ghar hi se thaka-manda gaya hai
bana hoga KHas-o-KHashak se wo
jo nabh jalta hua dekha gaya hai
mujhe lahron ki kashti par biTha kar
bhanwar ki khoj mein dariya gaya hai
zamin se bhi tawaqqo kuchh hai aisi
dimagh-e-charKH jab chakra gaya hai
jo utra arsh ka ek ek tabqa
zamin par daera banta gaya hai
na fikr-e-warta thi us ko zara bhi
wo kashti zist ki kheta gaya hai
'figar' us mein wajud us ka milega
jo juyan bahr ka qatra gaya hai
Ghazal
Tapish se bhag kar pyasa gaya hai
Jagdeesh Raj Figar