tapish-e-dil na rahi sozish-e-jaan baqi hai
shoala-e-ishq kahan sirf dhuan baqi hai
be-hisi mein bhi ye ehsas raha hai aksar
ek nashtar sa qarib rag-e-jaan baqi hai
mai-kasho gardish-e-dauran se hirasan kyun ho
sar-e-mai-KHana abhi abr-e-rawan baqi hai
zikr aata hai jafaon ka tere nam ke sath
dil-e-barbaad ka itna to nishan baqi hai
muddaten ho gain paiman-e-wafa ko TuTe
is jafa ju se magar rabt-e-nihan baqi hai
zindagi silsila-e-ishrat-e-mauhum sahi
gham-e-salamat hai to aasaish-e-jaan baqi hai
manzil-e-tark-e-tamanna hai janab-e-'arif'
dil mein ab bhi hawas-e-lala-ruKHan baqi hai
Ghazal
Tapish-e-dil na rahi sozish-e-jaan baqi hai
Arif Abbasi