Tapakte shoalon ki barsat mein nahaunga
ab aa gaya hun to is shahar se na jaunga
kashish hai ghar mein na bahar ki raunaqen baqi
yunhi raha to kahan ja ke muskuraunga
ye gili gili si KHushbu ye narm narm nigah
tumhaare pas raha main to bhig jaunga
basa sako to basa lo mujhe KHayalon mein
ki is dayar mein dobara main na aaunga
qadam sameT ke chalna bhi sikh jaoge
tumhein main ganw ki pagDanDiyan dikhaunga
chala tha DhunDne main zindagi ki buniyaaden
pata na tha ki KHud apna pata na paunga
na hunga main to meri dastan hogi 'nazar'
zamin pe dhup ki surat main phail jaunga
Ghazal
Tapakte shoalon ki barsat mein nahaunga
Badnam Nazar