tanz ki tegh mujhi par sabhi khinche honge
aap jab aur mere aur nagiche honge
aaina puchhega jab raat kahan the sahab
apni banhon mein wo apne hi ko bhinche honge
jis taraf chahiyega aap chale jaiyega
samne chand ke hum aankhon ko miche honge
aaj phir guzrenge qatil ki gali se hum log
aaj phir band makanon ke dariche honge
jis ki har shaKH pe radhaen machalti hongi
dekhna kirshn usi peD ke niche honge
ek makan aur bhi hai shish-mahal ke logo
jis mein dahliz na aangan na dariche honge
tera dam hai to bahaaron ko sukun hai 'bekal'
phir tere baad kahan bagh baghiche honge
Ghazal
Tanz ki tegh mujhi par sabhi khinche honge
Bekal Utsahi