tanKHwah-e-tabar bahr-e-daraKHtan-e-kuhan hai
jo shaKH phali hai wo bar-award-e-chaman hai
gulshan se anadil ko qafas mein hai siwa chain
aaram jahan ho wo gharibon ka watan hai
hai aalam-e-tifli se ayan maut ka saman
ghunche ka jo malbus hai wo gul ka kafan hai
hai hukm ki marne mein na ab der lagaen
ye qaid faqat bahr-e-asiran-e-kuhan hai
ai zoaf ye chhuTna hai mujhe qaid se bad-tar
jo tar-e-nafas hai meri gardan mein rasan hai
Ghazal
TanKHwah-e-tabar bahr-e-daraKHtan-e-kuhan hai
Rasheed lakhnavi

