tanhaiyon ki god mein pal kar baDa hua
bachpan se apne aap sambhal kar baDa hua
ghairon ko apna man ke jita raha hun main
is rah-e-pul-siraat pe chal kar baDa hua
main ne kabhi bhi raat se shikwa nahin kiya
har shab kisi charagh sa jal kar baDa hua
patthar se koi wasta matlab na tha magar
har aaine ki aankh mein khal kar baDa hua
maKHmal ki chadaron ka mujhe kya pata ki main
kanTon ke bistaraon ko masal kar baDa hua
Ghazal
Tanhaiyon ki god mein pal kar baDa hua
Nasir Rao