اردو हिंदी
Tanhaiyon ka habs mujhe kaTta raha | Shaahi Shayari
tanhaiyon ka habs mujhe kaTta raha

Ghazal

Tanhaiyon ka habs mujhe kaTta raha

Rasheed Qaisrani

;

tanhaiyon ka habs mujhe kaTta raha
mujh tak pahunch saki na tere shahr ki hawa

wo qahqahon ki sej pe baiTha hua mila
main jis ke dar pe dard ki baraat le gaya

ek umr justuju mein guzari to ye khula
wo mere pas tha main jise DhunDhta raha

nikla hun lafz lafz se main Dub Dub kar
ye tera KHat hai ya koi dariya chaDha hua

nazren milen to waqt ki raftar tham gai
nazuk se ek lamhe pe sadiyon ka bojh tha

main ne baDha ke hath use chhu liya 'rashid'
itna qarib aaj mere chand aa gaya