tanhaiyon ka habs mujhe kaTta raha
mujh tak pahunch saki na tere shahar ki hawa
wo qahqahon ki sej pe baiTha hua mila
main jis ke dar pe dard ki baraat le gaya
ek umr justuju mein guzari to ye khula
wo mere pas tha main jise DhunDhta raha
nikla hun lafz lafz se main Dub Dub kar
ye mera KHat hai ya koi dariya chaDha hua
aankhon mein jaise kanch ke TukDe chubho liye
palkon pe teri kash main aansu na dekhta
nazren milin to waqt ki raftar tham gai
nazuk se ek lamhe pe barson ka bojh tha
main ne baDha ke hath use chhu liya 'rashid'
itna qarib aaj mere chand aa gaya
Ghazal
Tanhaiyon ka habs mujhe kaTta raha
Rasheed Qaisrani

