اردو हिंदी
Tanhai se hai sohbat din raat judai mein | Shaahi Shayari
tanhai se hai sohbat din raat judai mein

Ghazal

Tanhai se hai sohbat din raat judai mein

Joshish Azimabadi

;

tanhai se hai sohbat din raat judai mein
kya KHub guzarti hai auqat judai mein

ruKHsat ho chala tha tab daman na tera thama
afsos ki malte hain ab hath judai mein

kiya zikr hai aansu ka zalim meri aankhon se
KHun-nab hi Tapke hai yak zat judai mein

jab wasl tha un rozon yak dil hi pe aafat thi
ab jaan ka hai sauda haihat judai mein

ye nala-o-zari ye KHastagi o KHwari
jidhar ko chalun 'joshish' hain sat judai mein