tanhai mein dikhte lamhe jab kuchh yaad dilate hain
sae sae kitne chehre aankhon mein phir jate hain
ab to achchhe dil walon ka qaht sa paDta jata hai
lekin naqli chehre wale dil apna bharmate hain
chhu jati hai jab bhi aa kar yaadon ki purwai si
nanhe nanhe kitne dipak palkon mein jal jate hain
apnon mein begana ban kar zinda rahna mushkil hai
lekin dekh zamane hum ko hum ji kar dikhlate hain
jaane kab se hum baiThe hain sochon ke chaurahe par
chaurangi ka mela hai jag hum bhi dekhe jate hain
Ghazal
Tanhai mein dikhte lamhe jab kuchh yaad dilate hain
Vishvanath Dard