tanhai ki gali mein hawaon ka shor tha
aankhon mein so raha tha andhera thaka hua
sine mein jaise tir sa paiwast ho gaya
tha kitna dil-KHarash udasi ka qahqaha
yun bhi hua ki shahr ki saDkon pe bar-ha
har shaKHs se main apna pata puchhta phira
barson se chal raha hai koi mere sath sath
hai kaun shaKHs us se main ek bar puchhta
dil mein utar ke bujh gai yaadon ki chandni
aankhon mein intizar ka suraj pighal gaya
chhoDi hai un ki chah to ab lag raha hai yun
jaise main itne roz andheron mein qaid tha
main ne zara si baat kahi thi mazaq mein
tum ne zara si baat ko itna baDha liya
kamre mein phailta raha cigarette ka dhuan
main band khiDkiyon ki taraf dekhta raha
'azar' ye kis ki samt baDhe ja rahe hain log
is shahr mein to mere siwa koi bhi na tha
Ghazal
Tanhai ki gali mein hawaon ka shor tha
Kafeel Aazar Amrohvi