tanhai ke shoalon pe machalne ke liye tha
kya mujh sa jawan aag mein jalne ke liye tha
kya katib-e-taqdir se zaKHmon ki shikayat
jo tir tha tarkash mein so chalne ke liye tha
jalta hai mere dil mein paDa dagh ki surat
jo chand sar-e-arsh nikalne ke liye tha
is jhil mein tujh se bhi koi lahr na uThi
aur tu meri taqdir badalne ke liye tha
mayus na ja aa gham-e-dauran mere nazdik
tu hi meri banhon mein machalne ke liye tha
ye Dasti hui raat guzar jaegi yaro
wo hansta hua din bhi to Dhalne ke liye tha
kuchh aanch mere lams ki garmi se bhi pahunchi
wo barf sa paikar bhi pighalne ke liye tha
tafriq ne mulkon ki tarashe hain aqaed
insan bas ek rah pe chalne ke liye tha
zinda hai meri fikr mere karb se 'zulfi'
ye phul isi shaKH pe phalne ke liye tha

Ghazal
Tanhai ke shoalon pe machalne ke liye tha
Saif Zulfi