اردو हिंदी
Tanhai ke lamhat ka ehsas hua hai | Shaahi Shayari
tanhai ke lamhat ka ehsas hua hai

Ghazal

Tanhai ke lamhat ka ehsas hua hai

Naseem Shahjahanpuri

;

tanhai ke lamhat ka ehsas hua hai
jab taron bhari raat ka ehsas hua hai

kuchh KHud bhi hun main ishq mein afsurda o ghamgin
kuchh talKHi-e-haalat ka ehsas hua hai

kya dekhiye un tira-nasibon ka ho anjam
din mein bhi jinhen raat ka ehsas hua hai

wo zulm bhi ab zulm ki had tak nahin karte
aaKHir unhen kis baat ka ehsas hua hai

bazi-gah-e-alam mein to ek khel hai jina
is khel mein kab mat ka ehsas hua hai

ruKH par tere bikhri hui zulfon ka ye aalam
din ka to kabhi raat ka ehsas hua hai

kuchh KHud bhi wo nadim hain 'nasim' apni jafa par
kuchh meri shikayat ka ehsas hua hai