tanhai ke aab-e-rawan ke sahil par baiTha hun main
lahren aati jati rahti hain dekha karta hun main
kaun sa lafz ada hone ka pas-manzar hai mera wajud
kis ka haul hai mere dil mein kaisa sannaTa hun main
hijr o visal charagh hain donon tanhai ke taqon mein
akasr donon gul rahte hain aur jala karta hun main
KHali dar-o-diwar ki KHushbu pagal rakhti hai mujh ko
jaane kahan wo phul khila hai jis ka man-jaya hun main
sab ye sochte hain 'farhat-ehsas' tamasha hai koi
main ye sochta rahta hun kis miTTi ka putla hun main
Ghazal
Tanhai ke aab-e-rawan ke sahil par baiTha hun main
Farhat Ehsas