tanhai ka rog na pal
ghar se bahar paon nikal
jin mein ho zahrila-pan
aisi baaten hans kar Tal
shahr mein wahshi aae hain
chal jangal mein Dera Dal
andar se hain bikhre bikhre
aur bahar se sab KHush-haal
aankhen sab ki fikr-zada
kaise bitega ye sal
'talib' pyas bujhe kaise
ek nadi aur sau ghaDiyal
Ghazal
Tanhai ka rog na pal
Ejaaz Talib