tanha tanha sahmi sahmi KHamoshi
jaisi hain aawazen waisi KHamoshi
tanhai mein chaunka deti hai aksar
sannaTe se baaten karti KHamoshi
be-maqsad mahfil se behtar tanhai
be-matlab baaton se achchhi KHamoshi
do aawaze hamrahi ek raste ki
aur donon ke beach mein chalti KHamoshi
chupke chupke ghar ko Dasti rahti hai
darwaze ki diwaron ki KHamoshi
KHamoshi ke zabt se Darti aawaze
aawazon ke shor se Darti KHamoshi
Ghazal
Tanha tanha sahmi sahmi KHamoshi
Ain Irfan