tanha khaDe hain hum sar-e-bazar kya karen
koi nahin hai gham ka KHaridar kya karen
ai kam-nasib dil tu magar chahta hai kya
sannyas le len chhoD den ghar-bar kya karen
uljha ke KHud hi zist ke ek ek tar ko
KHud se sawal karte hain har bar kya karen
ek umr tak jo zist ka hasil bani rahin
pamal ho rahi hain wo aqdar kya karen
hai puri kaenat ka chehra dhuan dhuan
ghazlon mein zikr-e-yar tarah-dar kya karen
is dohri zindagi mein bhi lakhon azab hain
duniya se dil hai barsar-e-paikar kya karen
Ghazal
Tanha khaDe hain hum sar-e-bazar kya karen
Shabnam Shakeel

