tanha kar ke mujh ko salib-e-sawal pe chhoD diya
main ne bhi duniya ko us ke haal pe chhoD diya
ek chingari ek jugnu ek aansu aur ek phul
jate hue kya kya us ne rumal pe chhoD diya
para para KHushbu chakraati hai kamre mein
aag jala ke shira us ne ubaal pe chhoD diya
pahle us ne barsae aakash pe sare tir
phir dhire se ghoDe ko patal pe chhoD diya
uThne wala hai bazar kahun kya yusuf se
sikkon ka thaila main ne Tiksal pe chhoD diya
taziraat pe dil mahshar tan larza chehra faq
rab ne chashm-e-do-qatra sayyal pe chhoD diya
pashmine sa mazi tha 'tafzil' samor sa haal
mustaqbil ko uni hawa ki tal pe chhoD diya

Ghazal
Tanha kar ke mujhko salib-e-sawal pe chhoD diya
Tafzeel Ahmad