tanha chhoD ke jaane wale ek din pachhtaoge
aas ka suraj Dub raha hai lauT ke ghar kab aaoge
nafrat ko mahsur kiya hai ulfat ki diwaron mein
jin rahon se guzroge tum pyar ki KHush-bu paoge
dil ki viran nagri pe ab gham ke baadal chhae hain
dukh ki kali raat mein bolo kab tak sath nibhaoge
koyal to patthar ke Dar se aaKHir ko uD jaegi
baadal to pagal hai us ko kaise tum samjhaoge
tum to KHud sahra ki surat bikhre bikhre lagte ho
'farruKH' se 'farruKH' ko socho kaise tum milwaoge
Ghazal
Tanha chhoD ke jaane wale ek din pachhtaoge
Farrukh Zohra Gilani