اردو हिंदी
Tangi-e-dahan se hai aDi baat | Shaahi Shayari
tangi-e-dahan se hai aDi baat

Ghazal

Tangi-e-dahan se hai aDi baat

Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi

;

tangi-e-dahan se hai aDi baat
chhoTa sa hai munh tera baDi baat

kya charb-zaban wo shoala-ru hai
lab tak aa kar phisal paDi baat

matlab par agar zaban do tum
ho munh se abhi nikal khaDi baat

dil shisha-e-saat apna ban jae
saqi na kare jo do ghaDi baat

hain peT ki halki wo sadaf-san
moti ki tarah nikal paDi baat