tang-o-mahdud bahut husn-e-nazar tha pahle
zulf-o-ruKHsar pe mauquf hunar tha pahle
aane-jaane ka sarokar kahan se aaya
koi jada na musafir na safar tha pahle
ab bhi gardish mein meri dhup raha karti hai
yahi saya jo udhar hai ye idhar tha pahle
dar-o-diwar se aazad bayaban phir ho
apne shorida-saron ka yahi ghar tha pahle
meri talwar pe hai razm purani likkhi
mere KHamosh lahu mein bhi bhanwar tha pahle
ye tasawwur bhi pala aab-o-hawa mein meri
is zamin par na khaDa aisa shajar tha pahle
Ghazal
Tang-o-mahdud bahut husn-e-nazar tha pahle
syed raza