tang naddi ke taDapte hue pani ki tarah
hum ne Dali hai nai ek rawani ki tarah
Dhalte Dhalte bhi ghazab Dhae gaya hijr ka din
kisi kafir ki junun-KHez jawani ki tarah
aisi wahshat ka bura ho ki hum apne ghar se
gham hue KHud bhi mohabbat ki nishani ki tarah
nange sach qabil-e-bardasht kahan hote hain
waqia kahiye to kahiyega kahani ki tarah
pas rakkhen to malal aag lagaen to malal
dil bhi hai kya kisi taswir purani ki tarah
ishq hai madrasa-e-zist ki ukhDi hui inT
hama-dani ki tarah hech-mudani ki tarah
ye ghazal hazrat-e-'rahil' ki hai dhyan rahe
aap poshida hain lafzon mein maani ki tarah
Ghazal
Tang naddi ke taDapte hue pani ki tarah
Raheel Farooq

