اردو हिंदी
Tang aate bhi nahin kashmakash-e-dahr se log | Shaahi Shayari
tang aate bhi nahin kashmakash-e-dahr se log

Ghazal

Tang aate bhi nahin kashmakash-e-dahr se log

Sahar Ansari

;

tang aate bhi nahin kashmakash-e-dahr se log
kya tamasha hai ki marte bhi nahin zahr se log

shahr mein aae the sahra ki faza se thak kar
ab kahan jaenge aaseb-zada shahr se log

naKHl-e-hasti nazar aaega kabhi naKHl-e-salib
zist ki fal nikalenge kabhi zahr se log

hum ko jannat ki faza se bhi ziyaada hai aziz
yahi be-rang si duniya yahi be-mehr se log

mutmain rahte hain tufan-e-masaib mein kabhi
Dub jate hain kabhi dard ki ek lahr se log

ai zamin aaj bhi zarre hain tere mahr-tarash
ai falak aaj bhi laDte hain tere qahr se log

sirf mahrumi-e-farhad ka kya zikr 'sahar'
be-sutun kaT ke mahrum rahe nahr se log