اردو हिंदी
Tang aaghosh mein aabaad karunga tujhko | Shaahi Shayari
tang aaghosh mein aabaad karunga tujhko

Ghazal

Tang aaghosh mein aabaad karunga tujhko

Jaun Eliya

;

tang aaghosh mein aabaad karunga tujh ko
hun bahut shad ki nashad karunga tujh ko

fikr-e-ijad mein gum hun mujhe ghafil na samajh
apne andaz par ijad karunga tujh ko

nashsha hai rah ki duri ka ki hamrah hai tu
jaane kis shahr mein aabaad karunga tujh ko

meri banhon mein bahakne ki saza bhi sun le
ab bahut der mein aazad karunga tujh ko

main ki rahta hun ba-sad-naz gurezan tujh se
tu na hoga to bahut yaad karunga tujh ko