tang aa gae hain kya karen is zindagi se hum
ghabra ke puchhte hain akele mein ji se hum
majburiyon ko apni kahen kya kisi se hum
lae gae hain, aae nahin hain KHushi se hum
kam-baKHt dil ki man gae, baiThna paDa
yun to hazar bar uThe us gali se hum
yarab! bura bhi ho dil-e-KHana-KHarab ka
sharma rahe hain is ki badaulat kisi se hum
din hi pahaD hai shab-e-gham kya ho kya na ho
ghabra rahe hain aaj sar-e-sham hi se hum
dekha na tum ne aankh uTha kar bhi ek bar
guzre hazar bar tumhaari gali se hum
matlab yahi nahin dil-e-KHana-KHarab ka
kahne mein us ke aaen guzar jaen ji se hum
chheDa adu ne ruTh gae sari bazm se
bole ki ab na baat karenge kisi se hum
tum sun ke kya karoge kahani gharib ki
jo sab ki sun raha hai kahenge usi se hum
mahfil mein us ne ghair ko pahlu mein di jagah
guzri jo dil pe kya kahen 'bismil' kisi se hum
Ghazal
Tang aa gae hain kya karen is zindagi se hum
Bismil Azimabadi