tang aa gae hain kashmakash-e-ashiyan se hum
ab ja rahe hain aap ke is gulistan se hum
sayyaad ne jo kaT diye baal-o-par tamam
fariyaad aaj karte hain us baghban se hum
bijli chamak rahi hai nasheman ki KHair ho
mayus ho gae hain kuchh ab aashiyan se hum
fasl-e-bahaar hai aji gane ke rose hain
kunj-e-qafas mein baiThe hain ek be-zaban se hum
har shaKHs hai hamari mohabbat pe tana-zan
tang aa gae hain apni hi is dastan se hum
un ki nawazishat bhi sab raegan gain
nadim se ho rahe hain ab ek mehrban se hum
ye shukr hai ki dur nahin manzil-e-murad
chhup-chhup ke ja pahunchte hain har pasban se hum
ai dil muaf kar de 'nizami' ki be-ruKHi
Darte hain is zamane mein har bad-guman se hum
Ghazal
Tang aa gae hain kashmakash-e-ashiyan se hum
Siddiq ahmad Nizami