tang aa gae hain ishq mein ab zindagi se hum
aae qaza to nazr karen jaan KHushi se hum
un ki KHushi se baDh ke hamein kuchh nahin aziz
dil mal kya hai jaan bhi de den KHushi se hum
puchha tha main ne ghair ne kya aap se kaha
bole kisi ki baat kahen kyun kisi se hum
ruKHsat ki tujh se maut ne mohlat hamein na di
band aankh kar ke nikle hain teri gali se hum
pursan-e-haal kaun ho badle hue hain bhes
baiThe hain un ki bazm hain ek ajnabi se hum
puchho na hum se zist ka lutf aa gaya hamein
jis din se ru-shanas hue be-KHudi se hum
hum bhi hain apni waza ke duniya mein ek si
mumkin nahin milap karen muddai se hum
'shad' is tarah se aaj kiya us ne mujh ko 'shad'
dekho to phul ban gae khil kar kali se hum
Ghazal
Tang aa gae hain ishq mein ab zindagi se hum
Murli Dhar Shad