tandurusti di KHuda ne to naqahat na gai
yani tauba se bhi isyan ki nadamat na gai
shaiKH-ji mahfil-e-rindan se ye kahte nikle
shukr-sad-shukr ki bazar mein izzat na gai
nam baqi hai zamana mein to bhar paya
gae mardan-e-KHuda KHalq se shohrat na gai
kis ka jalwa nazar aaya tha use roz-e-azal
aaj tak nargis-e-bedar ki hairat na gai
mar gaya mar ke bhi ThanDi na hui lash mari
soz-e-furqat ki magar dil se hararat na gai
zard nuqra nahin insan ki tarah murda-pasand
jo gaya qabr mein tanha gaya daulat na gai
hur jo tujh se mushabah thi usi ko dekha
marne ke baad bhi zalim teri ulfat na gai
nafas bahkata hai piri mein to kahta hun 'saKHa'
kyun ba-shaitan teri ab bhi shararat na gai
Ghazal
Tandurusti di KHuda ne to naqahat na gai
Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi