اردو हिंदी
Tan se jaan ka qadam nikalta hai | Shaahi Shayari
tan se jaan ka qadam nikalta hai

Ghazal

Tan se jaan ka qadam nikalta hai

Meer Kallu Arsh

;

tan se jaan ka qadam nikalta hai
ab koi dam mein dam nikalta hai

sair kar inqilab-e-alam ki
Thekra le ke jam nikalta hai

ai pari shab jo hur ko dekha
tera andaz kam nikalta hai

KHalq marti hai ku-e-qatil mein
taur-e-mulk-e-adam nikalta hai

chhoD but-KHane ko tere hathon
barhaman ai sanam nikalta hai

kucha-e-zulf se tere ai but
bach ke shaiKH-e-haram nikalta hai

saf ai hur tere kuche mein
rang-e-bagh-e-iram nikalta hai

jaan-e-jaan tujh pe jaan jati hai
dam nikalta hai dam nikalta hai

tegh-e-qatil hai 'arsh' zahr-alud
mere zaKHmon se sam nikalta hai