اردو हिंदी
Tan-e-tanha muqabil ho raha hun main hazaron se | Shaahi Shayari
tan-e-tanha muqabil ho raha hun main hazaron se

Ghazal

Tan-e-tanha muqabil ho raha hun main hazaron se

Kaif Bhopali

;

tan-e-tanha muqabil ho raha hun main hazaron se
hasinon se raqibon se ghamon se gham-gusaron se

unhen main chhin kar laya hun kitne dawedaron se
shafaq se chandni raaton se phulon se sitaron se

sune koi to ab bhi raushni aawaz deti hai
pahaDon se guphaon se bayabanon se ghaaron se

hamare dagh-e-dil zaKHm-e-jigar kuchh milte-julte hain
gulon se gul-ruKHon se mah-washon se mah-paron se

kabhi hota nahin mahsus wo yun qatl karte hain
nigahon se kanakhiyon se adaon se ishaaron se

hamesha ek pyasi ruh ki aawaz aati hai
kuon se panghaTon se naddiyon se aabshaaron se

na aae par na aae wo unhen kya kya KHabar bheji
lifafon se KHaton se dukh bhare parchon se taron se

zamane mein kabhi bhi qismaten badla nahin kartin
umidon se bharoson se dilason se sahaaron se

wo din bhi hae kya din the jab apna bhi talluq tha
dashahre se diwali se basanton se bahaaron se

kabhi patthar ke dil ai 'kaif' pighle hain na pighlenge
munajaton se fariyaadon se chiKHon se pukaron se