اردو हिंदी
Tan-e-nahif ki KHatir rida nahin mangi | Shaahi Shayari
tan-e-nahif ki KHatir rida nahin mangi

Ghazal

Tan-e-nahif ki KHatir rida nahin mangi

Niyaz Husain Lakhwera

;

tan-e-nahif ki KHatir rida nahin mangi
bahut dinon se KHuda se dua nahin mangi

KHud apni lash ko apne lahu se Dhanpa hai
hari ruton se gulon ki qaba nahin mangi

chhaton pe pyas paDaw kiye rahi lekin
siyah-baKHt gharon ne ghaTa nahin mangi

koi shajar na KHarida KHulus-e-jaan ke ewaz
shadid dhup mein ThanDi hawa nahin mangi

sukut-e-marg labon ko pasand hai itna
jo mustaar mile wo sada nahin mangi

nuzul-e-mausam-e-tahqir-e-jaan se bachne ki
gulab aise badan ne dua nahin mangi