tamiz apne mein ghair mein kya tumhein jo apna na kar sake hum
har ek mahfil hui gawara tumhaari mahfil se kya uThe hum
sahar pasheman-e-arzu hain charagh-e-shab the so jal bujhe hum
KHiraj ashkon ka KHun-e-dil se jo hum ko lena tha le chuke hum
na shama kanpi na git Dube uThe jo hum un ki anjuman se
chalo bas achchha hua ki aise kahan ke mahfil-faroz the hum
na hum syahi na hum ujala charagh hain ashk-e-arzu ke
ki hum sar-dasht-e-be-karan hain sulagte rahte hain sham se hum
nazar uThao to jhum jaen nazar jhukao to Dagmagaen
tumhaari nazron se sikhte hain tariq maut-o-hayat ke hum
karen jo shikwa zaban kahan hai zaban mein tab-e-fughan kahan hai
kahan ka pardes kaisi ghurbat watan ki galiyon mein luT gae hum
hamari rudad muKHtasar hai wafa kahan ki jafa kahan ki
ba-rang-e-gul muskura diye wo ba-tarz-e-shabnam bikhar gae hum
'aziz-qaisi' kahan rahe to ki raat us but ki anjuman mein
hujum-e-naghma mein zikr sun kar kisi diwane ka ro paDe hum
Ghazal
Tamiz apne mein ghair mein kya tumhein jo apna na kar sake hum
Aziz Qaisi