tamannaon mein uljhe rah gae hain
hamare bachche buDhe rah gae hain
wo aankhen kitna aage ja chuki hain
samundar kitna pichhe rah gae hain
abhi tanha wo guzri hai yahan se
hazaron dil dhaDakte rah gae hain
jinhen banhon mein bhar kar so rahi ho
bahut achchhe wo takiye rah gae hain
ba-zahir ek naya-pan aa chuka hai
magar ye dil purane rah gae hain
ye kis ne KHwab se aa kar jagaya
hum us ko chhute chhute rah gae hain
kisi ko bagh hasil ho chuke hain
kahin angur khaTTe rah gae hain

Ghazal
Tamannaon mein uljhe rah gae hain
Waseem Tashif