tamannaon mein uljhaya gaya hun
khilaune de ke bahlaya gaya hun
hun is kuche ke har zarre se aagah
idhar se muddaton aaya gaya hun
nahin uThte qadam kyun jaanib-e-dair
kisi masjid mein bahkaya gaya hun
dil-e-muztar se puchh ai raunaq-e-bazm
main KHud aaya nahin laya gaya hun
sawera hai bahut ai shor-e-mahshar
abhi bekar uThwaya gaya hun
sataya aa ke pahron aarzu ne
jo dam bhar aap mein paya gaya hun
na tha main mo'taqid eajaz-e-mai ka
baDi mushkil se manwaya gaya hun
kuja main aur kuja ai 'shad' duniya
kahan se kis jagah laya gaya hun
Ghazal
Tamannaon mein uljhaya gaya hun
Shad Azimabadi