اردو हिंदी
Tamannaon ki duniya mein qadam dharne nahin deti | Shaahi Shayari
tamannaon ki duniya mein qadam dharne nahin deti

Ghazal

Tamannaon ki duniya mein qadam dharne nahin deti

Jameel Yusuf

;

tamannaon ki duniya mein qadam dharne nahin deti
jo karna chahta hun zindagi karne nahin deti

koi surat nahin hai zindagi se bach nikalne ki
gham-o-alam ke maron ko bhi marne nahin deti

andhera lakh ho mujh ko sahar ki aas rahti hai
yahi wo raushni hai jo mujhe Darne nahin deti

koi mausam ho un zulfon ki KHushbu le hi aati hai
hawa-e-shauq dil ke zaKHm ko bharne nahin deti

KHuda ne mere andar kya KHabar kya chiz rakh di hai
jo samjhauta mujhe haalat se karne nahin deti

mujhe malum hai wada nibhana saKHt mushkil hai
meri kam-himmati inkar bhi karne nahin deti

guzarti rau badalti ja rahi hai ek ek shai ko
kisi shai se mujhe ulfat ka dam bharne nahin deti