tamannaen jawan thin ishq farmane se pahle
shagufta the ye sare phul kumhlane se pahle
hifazat ki koi surat nikal aati hai aksar
main tum ko DhunD hi leta hun kho jaane se pahle
bhala wo log kya jaanen safar ki lazzaton ko
jinhen manzil mili ho Thokaren khane se pahle
meri wahshat mere sahra mein un ko DhunDhti hai
jo the do-chaar chehre jaane pahchane se pahle
junun ki manzilen aasan nahin ye soch lena
kai gulshan paDenge tum ko virane se pahle
Ghazal
Tamannaen jawan thin ishq farmane se pahle
aqeel nomani