tamanna ko gul-o-gulzar karna
mere dasht-e-talab ko par karna
mere malik mujhe aasan kar de
guzar har-samt se ek bar karna
mujhe bhi rafta rafta aa gaya hai
KHud apne kaam ko dushwar karna
nahin yaron mein sach sunne ka yara
barahna masti-e-guftar karna
main tanhai mein baiTha ro raha hun
bahut achchha laga tha pyar karna
Ghazal
Tamanna ko gul-o-gulzar karna
Abul Hasanat Haqqi

