tamanna ban gai hai maya-e-ilzam kya hoga
magar dil hai abhi tak tishna-e-paigham kya hoga
wo betab-e-tamasha hi sahi ai tab-e-nazzara
laraz uThta hai dil ye soch kar anjam kya hoga
yahan jo kuchh bhi hai wo partaw-e-ehsas hai saqi
ba-juz baada jawab-e-gardish-e-ayyam kya hoga
kabhi jis ke yaqin se kaenat-e-ishq raushan thi
wahi ab hai asir-e-halqa-e-auham kya hoga
junun-e-shauq ka aalam hama masti sahi lekin
ye aalam bhi jawab-e-shoKHi-e-paigham kya hoga
chale to ho mizaj-e-yar ki pursish ko ai 'bekal'
magar ye soch lo andaz-e-istifham kya hoga
Ghazal
Tamanna ban gai hai maya-e-ilzam kya hoga
Bekal Utsahi