tamashe ki shaklen ayan ho gai hain
bahaaren bahut yan KHizan ho gai hain
KHabar pas-rawon se tum un ki na puchho
jo ruhen adam ko rawan ho gai hain
nikali hain jo hum ne auj-e-suKHan se
zaminen wo sab aasman ho gai hain
unhen farz hai tir ka kis ke sajda
jo mewe ki shaKHen kaman ho gai hain
wo but qata karta hai zulfon ko shayad
nazakat par us ki giran ho gai hain
Tuk ai baghban rahm kar bulbulon par
KHizan mein ye be-ashiyan ho gai hain
main roya hun yan tak judai mein teri
ki aankhen meri nawdan ho gai hain
judai mein us zulf ki misl-e-shana
meri ungliyan ustuKHwan ho gai hain
ruKH us ka main ai 'mushafi' kyun ki dekhun
nigahen meri bad-guman ho gai hain
Ghazal
Tamashe ki shaklen ayan ho gai hain
Mushafi Ghulam Hamdani