tamasha zindagi ka roz o shab hai
hamari aankhon ko aaram kab hai
chamakti hai tamanna jugnuon si
andheri raat mein raunaq ajab hai
zarurat Dhal gai rishte mein warna
yahan koi kisi ka apna kab hai
kahin duniya kahan us ke taqaze
wo tera mai-kada ye mera lab hai
zaban hi tera sarmaya hai lekin
'ata' KHamosh ye ja-e-adab hai
Ghazal
Tamasha zindagi ka roz o shab hai
Ata Abidi