tamasha phir sar-e-bazar karna
phir apne ahd se inkar karna
yahi hai mashghala kar-e-junun mein
banana phir use mismar karna
fareb-e-arzu hi zindagi hai
sarabon mein safar be-kar karna
jise pane ki KHwahish mein jiye the
usi ki zat ka inkar karna
jazire KHwahishon ki rah mein hain
magar lazim samundar par karna
jise ek umr ki kawish se bhule
usi ki yaad pur-asrar karna
darichon se lagi aankhon ki surat
kabhi chhupna kabhi izhaar karna
abhi ek aaKHiri sach bolna hai
KHushi se phir supurd-dar karna
Ghazal
Tamasha phir sar-e-bazar karna
Fayyaz tahseen