tamasha hai ki sab aazad qaumen
bahi jati hain aazadi ki rau mein
wo gard-e-karwan ban ke chale hain
sitare the rawan jin ke jilau mein
safar kaisa faqat aawargi hai
nahin manzil nigah-e-rah-rau mein
hai soz-e-dil hi raaz-e-zindagani
hayat-e-shama hai sirf us ki lau mein
bahut the ham-zaban lekin jo dekha
na nikla ek bhi hamdard sau main
'asad' saqi ki hai dohri inayat
sharab-e-kohna Dali jam-e-nau mein
Ghazal
Tamasha hai ki sab aazad qauMein
Asad Multani