اردو हिंदी
Tamasha-gah hai ya aalam-e-be-rang-o-bu kya hai | Shaahi Shayari
tamasha-gah hai ya aalam-e-be-rang-o-bu kya hai

Ghazal

Tamasha-gah hai ya aalam-e-be-rang-o-bu kya hai

Zia Faruqi

;

tamasha-gah hai ya aalam-e-be-rang-o-bu kya hai
main kis se puchhne jaun ki mere ru-ba-ru kya hai

basarat kah rahi hai kuchh nahin is dasht-e-wahshat mein
samaat puchhti hai phir ye aaKHir haw-hu kya hai

ye kis ki aamad-o-shud se hawaen raqs karti hain
ye kyun mausam badalte hain miyan-e-rang-o-bu kya hai

dar-o-diwar kya kahte hain ghar kis ko bulata hai
guzarte mausamon se baam-o-dar ki guftugu kya hai

dikhai kyun nahin deta mujhe us par ka manzar
ye ek diwar jaisi chashm-e-tar ke ru-ba-ru kya hai

main us ke samne ek aaina le ja ke rakh dunga
'ziya' apni zaban se kyun kahun us se ki tu kya hai