tamasha-gah-e-alam parda-dar ru-e-zeba hai
meri nazron mein lekin KHud ye parda husn-e-yakta hai
mata-e-zauq-e-sajda se abhi taskin nahin hoti
KHuda jaane junun-e-roz-afzun ki dawa kya hai
tere qadmon ki nisbat ko jabin-e-KHalq kya samjhe
koi puchhe mere dil se ki sang-e-dar tera kya hai
Ghazal
Tamasha-gah-e-alam parda-dar ru-e-zeba hai
Syed Bashir Husain Bashir