tamam umr ki tanhaiyon pe bhaari thi
wo ek sham tere sath jo guzari thi
ufuq pe likhta raha aaftab tahriren
magar bayaz-e-zamin raushni se aari thi
safir-e-subh ki aahaT pe ho gai bedar
ghunudgi mein jo KHwabida shab-KHumari thi
usi ne kar diya paiwast piTh mein KHanjar
wo shaKHs jis ki rifaqat se piTh bhaari thi
dil-o-dimagh ne phir hashiye tarash liye
kai dinon se tabiat mein na-gawari thi
jo baat tark-e-talluq ke moD tak pahunchi
KHata tumhaari nahin thi KHata hamari thi
jawab de diye 'salim' hayat ne mujh ko
magar sawaliya ek ek jawab-dari thi
Ghazal
Tamam umr ki tanhaiyon pe bhaari thi
Salim Shuja Ansari